1) Roshni se bhala jugnu ye nikalta kiyoN hai
aks iska meri aankhon meiN bikharta kiyoN hai
guftugu mein jo tera zikr kabhi aa jaaye
dard toofaaN ki tarah dil meiN machalta kiyoN hai
raat bhar chand ne choomi hai teri peshaani
us ko afsos hai sooraj ye nikalta kiyoN hai
kis liye phaila hai hasrat ka dhwaaN charoN taraf
Dil se ek aah ka shola ye nikalta kiyoN hai
sochti rehti hooN fursat mei yehi maiN "Seema"
kaam jo hona hai aakhir wohi tal-taa kiyoN hai
-----------------------------------------------------------
2) na hawa ki ho koie sazishen na abar ki khali garaj ho
nayay rang hon nayay phol hon meri ak alag he bahaar ho
nayay harf hon nayay lafaz hon nayie dastaan ak rakam ho
nayay loug hon naya karawaan naya zindagi ka singhaar ho
na siyasaton k yeh zulam hon na rafakaton main khout ho
na burayiyun ka he janam ho na tou nekiyun ka shumaar ho
na gilon ki koie ho waja na dilon pe koie chout ho
chaten abar puranay sar say ab nayay panyun ki dahaar ho
nayay hijar hon,hon nayay visaal,rahay muhabaton main yeh misaal
naya douryun main ho maza naya kurbaton main wikaar ho
rahay dour ab pijmurdagi khilay zindagi ka gulsataan
yahe aarizo Seema ki hai. bhari zindagi main nikhaar ho
-----------------------------------------------------------------------
1 comment:
kya kuhb likha hai is k agee tarif k sabd fike lagte hai isiliye aapko dhero badhiyan or subhkamnaye
regards
Post a Comment