Sunday, March 11, 2012

"Artical on Seema Gupta Poetry" by Respected Nasim Shahid ji in pakistan 09 march 2012

"Artical on Seema Gupta Poetry" Respected Nasim Shahid ji in pakistan 09 march 2012

I am highly obliged and thankful to Jnab Nasim Shahid ji to give such prestigious space to my "POETRY" along with his detailed review through his words and expressions

I am thankful to the GOD that i am surrounded with such kind hearted and good friends from neighbour country. I am always blessed with their good wishes care and affection on every stage of my achievement and their blessings are real "ASSET" for me.

Sarhad paar ke sabhi Dosto'n ka dil se shukriya.--

Haryana mien mukim bharat ki maurof shayara seema gupta ki shakshiyat par main pehle bhi likh chuka hun, aaz main unka zikar shayari ke hvaale se krunga

facebook ki duniya main naam peda krne wali poetess main seema gupta ka naam bohat aham hai . wo English- urdu or hindi zuban janti hain - seema Ghazal or nazm bohat achi lekhti hain - seema ki poetry ansani jazbon se ebarat hai - hijar -0-wisal ki kefiyat ka izhar bhi hai or bante tootey rishton ki manzoom story bhi -in ki poetry ke maozoyat zuban ki tabdili ke sath badal jate hain -

english poetry mein amuni insaani kafiyaat jga paate hain. hindi mein naswani masayil or naswani jazbon ka izhar milta hai. jabki urdu ghazal mein unke mozuaat ghala ke riwati magar maqbul mozuaat ka tasalsul nazar aate hain.

kia ajab baat hai wo mujh ko nain mil payia

pher bhi sansoon main mehkti hai hararat us ki

main ne us Shakhs ko palkon py bethya seema

or khud se bhi nain ki hai shekayat us ki

parveen Shakir ki tarha seema Gupta ke han bhi Aurat muhabat ka khule jazboon ke sath izhar krti nazar aati hai - mard ko mehboob ki shakal main dekheny ki jo tarha preveen ne dali thi wo seema Gupta ki poetry main new zaikey se mutruf karati hai

muhabaton ke haseen pal ko wo titaliyon ka khaiyal dey ga

kh khawab sare bus aik shab main wo mari aankhon main dal dey ga

jo shakhs bechara hai aaj mujh se bahar mosam ki chahaton main

kaha tha us ne kh chahton ko kabhi na rang-e-zawal dey ga

seema gupta or parveen shakir ji mein ek or mamasalat ye hai ki , parveen shakir ki tarha seema gupta bhi apni husni aawaz or shayari se mushayre loot liti hain.

by Respected Nasim Shahid

1 comment:

Mukesh Garg said...

seema ji yaha jo padha wo accha likha hai but jitna likha hai wo aapki bandgi me kafi kam lagta hai or ho bhi qu na aap k bare me jo bhi likhna chahega ya bolna chahaega wo kabhi bhi nhi likh shkata ya bol shkta.


dhero suhbkamnye swekar kare