"Desh videsh mein anaik puruskaron se sammanit seema gupta ko pakistan ke mashoor akhbar or patrika mein jagah di ja rahi hai . " NIKHAAR Internationl "Mag Islam Abad r "Mianwali Express" "news paper daily pakistan" "Asleeb" unki ghazalon or "dard ke dariya " ke samikhsa ka prakashan hua hai,
"Hari Bhumi" samvandata ko diye unke khas interview mein seema ne kaha ki bhle hi dono mulkon ke beech sarhad aa gyi ho prantu Sangeet azad hai . seema ko hindi , english or urdu ka gyan prapt hai or vo tino bhasha'on mein kavita or shayari likhti hain.
seema ne bataya ki pakistan ke mashoor shayar " Faiz Ahmed faiz" , "Ahmad faraz", " Attaulla khan" ki ghazale hindustaan mein yuva pidhi ke sar chad kar bolti hain.
yahi haal hindustaan ke mashoor shayar " Mirza Ghalib" , "Iqbaal", " Dushyant kumar " " Shaharyaar", " Nida fazli", " Jagjeet singh" , "pankaj udaas" jinke geet pakistan mein bacche gunguna rhe hain.
Jahir taur par sangeet hi aisa jariya hai jo sarhaodn ko paar kar mulk ki aavam ko aman or pyara ka paigaam deti hai.
Seema ko antarrashtriya akhil bhartiya kaviyatri sammelan mein Tashkent mein 2010 mein "purv ki nari" ezaaz ke samman se navaja gaya hai.
"Virah ke rang" or "Dard ka Dariya" unki pramukh krtiya hain.
COurtesy:
Journalist and national Poet of India : Mr Ramesh Sharma (Hari Bhumi)
1 comment:
pehle to aapko dhero badhiya dena chhunga , or dua karta hu ki aap uu hi safalta ki sidhiya dar sihdiya chadti rahe.................
Post a Comment