Saturday, November 17, 2012

GHAZAL PUBLISHED IN " SAADAR INDIA" "GEET GHAZAL" EDITION NOVEMBER 2012, along with great legenads of literature

GHAZAL PUBLISHED IN " SAADAR INDIA" "GEET GHAZAL" EDITION NOVEMBER 2012, along with great legenads of literature

Proud to see my Ghazal in above magazine along with great legenads of literature Mirza ghalib, Sahir ludhianvi , Shakeel badayuni, Kaifi azmi  , Jagjit singh , Gulzaar, Ghulam ali  , Javed akhtar  ,Meer taqi meer , faiz ahmed faiz etc 




Wo kuchh na kuchh to chhupa raha hai
haNsi jo lab per .............saja raha hai

Wo mere aankhoN ki pyaas..... bankar
mujhi se nazreN chura .........raha hai

usey maiN apna ..........kahuN to kaise
j
o dil pe nashtar chala ..........raha hai

mere khayaaloN ki .......chaandni meiN
wo chaand bankar .......sama raha hai

meri wafa pe ..........yaqeeN nahiN hai
jo mujh se daman chora raha hai

Jo meri zulfoN ki ......chhaon mein tha
ghataayeN bankar wo ...chha raha hai

jetna karti hoon........... door us ko
wo pass utna hi.......... aa raha hai

ye chand suraj zameen .......tary
koi to in ko chala ..........raha hai

roth janen gi sari .........khushiyan
udas kar ke wo .........ja raha hai

pannah meiN le le .......usko "Seema"
 bichhad ke tujhse jo .......ja raha ha

1 comment:

Mukesh Garg said...

kya kahe har line har sabd itna pyar bhra hai or unko jis trha aapne motiyo ki trha piroya ( bandha ) hua hai sach me ek dum adhbhut hai